Pyar bhari shayari 2019


Mere ruh mai na samati to bhul jata tumhe
Tum itna pass na aati to bhul jata tumhe
Yah kahte huye mera talaaku nahi tumse koi
Aankho mai aansu na aate to bhul jata tumhe

Badlana aata nahi hame mausam ki tarah
Har ek rut mai tera intazaar karate hai
Na tum samajh sakoge jise kayaamat tak
Kasam tumhari tumhe ham itns pyaar karate hai

Khubasoorat insaan se mohabbat nahi hote balk jis insaan se mohbbat hoti hai vo khubasoorat lagane lagata hai

Pahali mohbbat meri ham jaan na sake
Pyar kya hota hai ham pahchan na sake
Hamne unhe dil mai basa liya iss kadar ki
Jab chaha dil se nikal na sake


Pyar ho jata hai karta kon hai
Ham to kar denge pyar mai jaan kurban...
Lekin pata to chale ki hamse pyar karta koun hai

Tere khayal se hi ek raunak aa jati hai
Dil mein tum roobaroo aaoge to jaane kya aalam hoga

Aadhure milan ki aash hai zindagi sukh dukh yehsas hai
Zindagi furasat mile to khawab mai aaya karo
Aap ke bina zindagi badi udass hai

Hamari galtiyo se kahi tut na jana
Hamari shararat se kahi ruth na jana
Tumhari chahat hi hamari zindagi hai
Iss pyare se bandhan ko bhul na jana

Uski yaad hame bechain bana jati hai
Har jagah hame uski surat nazar aati hai
Kaisa haal kiya hai mera apke pyar ne
Nind bhi aati hai to aankhe bura maan jati hai

Har waqt muskurana fidrat hai hamari
Aap yu hi khush rahe hasrat hai hamari
Apko ham yad aaye ya na aaye
Apko yaad karna aadt hai hamari

Ham wo nahi ki bhul jaya karte hai
Ham wo nahi jo nibhaya karte hai
Dur rahkar milana shayad mushkil ho
Par yaad karke sanse mai bad jaya karte hai

Dil tere khayal mai guzar jata  hai
Rato ko bhi khayal tera hi aata hai
Kabhi te khayal iss tarah badh jata hai ki
Aayne mai bhi tera hi chehra nazar aata hai

Unka hall bhi kuchh aap jaise hi hoga
Apka haale dil unhone bhi mahsus hoga
Bekarari ke aag mai jo jal rahe hai aap
Apse jyada unhone iss jalan ko yehsas hoga

Wo waqt wo lamhe ajib honge
Duniya mai ham khush nasib honge
Dur se jab itna yaad karte hai aapko
Kya haal hoga jab aap hamare karib honge

Aadat badl du kaise tere intezar ki
Ye bat aab nahi hai mere ikatiyar ki
Dekha bhi nahi tujhko phir bhi yaad karte hai
Bas aise hi khushboo hai dil mai tere pyar ki

Pyar to zindagi ko sajane je liye hai
Par zindagi bas dard bahane ke liye hai
Mere aandar ki udasi kash koi padh lo
Ye hasta  huaa chehra to jamane ke liye hai

Zindagi se apna har dard chhupa lena
Khushi na sahi gam gale laga lena
Koi agar kahe mohbbat aasan hai
To use mera tuta huaa dil dikha dena

Hamari zindagi to kab ki bikhar gayi
Hasrate sari dil mai hi mar gaii
Chal padi wo jab se baithe ke doli mai
Hamari to jine ki tamna hi mar gayi


Na dil mai basakar bhulaya karte hai
Na hansakar rulaya karte hai kabhi
Mahsus kar ke dekh lena ham jaise
Hoye dil de rishte nibhaya karte hai

Upar se gussa dil se pyar karte ho
Nazare churate ho dil bekarar karte ho
Lakh chhupao duniya se mujhe khabar hai
Tum mujhe khud se bhi jyada pyar karte ho



Agar aapko shayari acchi lagi ho, to ise apne dosto ke saath share karna na bhule!

Post a Comment

0 Comments